ऐसा नहीं कि हमको मोहब्बत नहीं मिली
1:- Aisa nahi ki hamko mohabbat nahi mili,
Beher - 221-2121-1221-212
Aisa nahi ki humko Mohabbat nahi mili
Thi jiski aarzoo,wahii daulat nahi mili
jo dekh le to mujhse kare rashk zamaanaa
Sab kuch mila magar wohii qismat nahi mili
Ghar ko sajaate kaise,ye har ladhki seekhtii
Zinda rahe to kaise naseehat nahi mili
kisko sunaayeiN qissa yahaan, tere zauf ka
kahte haiN hum sabhi se ki aadat nahi mili
Dekha giraa ke khud ko hii qadmon main uske aaj
“Shrddha” naseeb main tujhe qurbat nahi mili
ऐसा नहीं कि हमको मोहब्बत नहीं मिली
थी जिसकी आरज़ू वही दौलत नहीं मिली
जो देख ले तो मुझसे करे रश्क ज़माना
सब कुछ मिला मगर वही क़िस्मत नहीं मिली
घर को सजाते कैसे,ये हर लड़की हैं सीखती
ज़िंदा रहे तो कैसे नसीहत नहीं मिली
किसको सुनाएँ क़िस्सा यहाँ, तेरे ज़ॉफ का
कहते हैं हम सभी से कि आदत नहीं मिली
देखा गिरा के खुद को ही क़दमों में उसके आज
“श्रद्धा” नसीब में तुझे क़ुरबत नहीं मिली
26 comments:
bhut sundar rachana.badhai ho.
किसको सुनाएँ क़िस्सा यहाँ, तेरे ज़ॉफ का
कहते हैं हम सभी से कि आदत नहीं मिली
ATI SUNDAR GURU JEE
Aisa nahi ki humko Mohabbat nahi mili
Thi jiski aarzoo,wahii daulat nahi mili
bahut badhiya abivyakti .dhanyawaad.
Madam. bahut achha likha hai apne. lekin ek baat apko man ni hogi. ki kabhi kisi ko mukammal jahan nahi milta kabhi jamin to kahi aasman nahi milta. Sunder Aisa hi Likhti rahiye
सुन्दर शब्द...गह विचार...
क्या बात है श्रद्धा जी.. बहुत ही बढ़िया
वाह क्या बात है!
जो देख ले तो मुझसे करे रश्क ज़माना
सब कुछ मिला मगर वही क़िस्मत नहीं मिली
kya bat hai mohtarma.....
किसको सुनाएँ क़िस्सा यहाँ, तेरे ज़ॉफ का
कहते हैं हम सभी से कि आदत नहीं मिली
ye sher sabse pasandida sher hai...dil le gaya hamara.....
जो देख ले तो मुझसे करे रश्क ज़माना
सब कुछ मिला मगर वही क़िस्मत नहीं मिली
बहुत खूब श्रद्धा जी ..बहुत दिनों बाद आपका लिखा हुआ पढ़ा ..अच्छा लगा
Mubarak ho blog ki duniya me.. aap achcha likhati hain.. badhayee..
जो देख ले तो मुझसे करे रश्क ज़माना
सब कुछ मिला मगर वही क़िस्मत नहीं मिली
सुन्दर अति सुन्दर।
अच्छा लगा पढ़कर. लिखती रहिये.
Zindagi aasan to nahi thi kehne ke liye,
Magar khamosh rehne ke liye tarbiyat nahi mili
Ab to ilzam agar dede koi badzubani ka,
Ise adab e mukhalifat ki tehreer nahi mili
Bus samete hain kuch gul in kanton ke gulistan se,
Phoolon se rahat to kabhi kanton se chuban nahi mili
WAH BAHUT KHOOB..AAFREEN AFREEN ..KYA LIKHU..EK EK JUMLA ANTAH TAQ ME UTER JATA HAI....OR EK GUJRE JAMANE KI PURANI GALIYON ME LEJATA HAI...AAP KI GAZAL AAM AADMI KI GAZAL HAI....OR GAZAL KA YE AHSAH HI USKO MAQBOOL BANATI HAI...AAP JESE UMDA KALAM WALON KO DAD DENA ...MUJE AATA NAHI HAI HAAN PEHLIBAR ESA KAR RAHA HU...KUCH ADAB KE KHILAF NAHO...SHUKERYA...KEEP IT UP
Bahut Accha Laga..adbhut rachna..
gehantam aur Goodh vichar...
Vah..Vah.sunder ati sunder..
khubsurat ghazal...aur haasil-e-ghazal ye sher raha...
किसको सुनाएँ क़िस्सा यहाँ, तेरे ज़ॉफ का
कहते हैं हम सभी से कि आदत नहीं मिली
la-alfaz kar diya aap ne...
wo kuch na kha kar bhi sab kuch kah jaate hai or hum sab kuch samajh kar bhi na samajh paate hai shayad bebas hai ye zindagi jab tak unke kalam mi aawaj na thi jase koi ahsaan na tha zindagi mi aaj haal-le-Dil baya karke ek naya andaaz sekha diya jeene ka !!!!!!! bhout khob shrddha ji or bhi sunna chahe ge aap ki kalam ko
kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta !!!!!!!!!!!
shabdon ki kuchh aisi hi khubsurti aap ne bhi bandh di hai
badhai
Jasvir ji bahut bahut dhaynvaad aapka
aapka saath mil raha hai ye achha lagta hai
bhiyaa aapse main sab seekhti hoon aur aap jab guru ji bulate hai to badhi sharam aati hai
aapka pyaar saath aur saneh banaye rakhe
Mahendra bhiyaa apna sneh banaye rakhe
aapka aashirvaad bahut mani rakhta hai
Avanish ji bahut bhaut shukriya aapka
main aapki raay se agree karti hoon ki yaha kisi ko pura jahan nahi milta
Rajiv ji shukriya ji
वाकई सुंदर है !
ab mere paas kuchh kehne ko nahin bachaa...
Please add me to gtalk
my id yogesh249@gmail.com
Would like to have chat with u some time.
I can see, that I can learn a lot from you.
ज़िंदा रहे तो कैसे नसीहत नहीं मिली
shraddha ji ....veri nice
Post a Comment